Subah ke saaye nazar se pighle
Tumhari chaahat mein ghul gaye hum
Wo unchhuaa sa… labon ka jadoo
Wo cheeni mitti si meri hasrat
Na jaane kaisa tha rang tera…
Na jaane kaisa tha roop mera
Kahin juda se nahi the hum-tum…
Nazar mein bhar lo mujhe, bujha do...
Hawa me udte tamaam jugnu.
Main tujh me lipti…bujhi hui si
Dhooen ki chaadar phisal rahi hai
Subah ke saaye…hamari chaahat
Na jaane kaise pighal rahe hai…
January 27, 2011
January 26, 2011
Yunhi
Yunhi kabhi main mili thi tumse...
Yunhi tumhari hassi ne mere ajeeb dil ko rula diya tha.
Koi wajah thi ki tum mein meri nazar ka kona attuck gaya tha?
Main uth rahi thi…chale gaye tum
Na jaane Main kyun zameen se chipki…tumhare jaane ko dekhte thi?
Kyun mann ne chaha hazaar chup-si pukaar dekar tumhe bulana?
Nahi mile phir…wo akhari tha hamara milna.
Agar kabhi tum miloge mujhse to sach kahoongi...
Hazaar lamhe guzar chuke hain
Hazaar sadiyan bikhar gayeen hain
Magar wo alhad ajeeb ladki…wahin khadi hai
Na jaagti hai…na poochti hai…na sochti hai…na maangti hai
Koi zaroorat…na koi khwahish…na koi mannat…na muskurahat.
Wo chup-si ladki wahin khadi hai
.

Subscribe to:
Posts (Atom)